Monday, March 5, 2007

Khusi ki talash....

hum to besabr hokar nikle the khushi ki talaash main..
Khusi dikhi to socha ki smat chale ise apni raah main..
abhi khushi smati hi thi ki dard ke parwaane aa gaye...
bole are naasmajh, jise khushi smajhta hai....vo ek dhoka hai..
bhool jaa..bhool jaa...
pur hum to besabr hokar nikle the khushi ki talaash main..
so chal pade khushi ko samet kar..
abhi kuch dur chale hi the kii khushi ka pehla kaanta chubha...
aankho se us khushi ki pehli boond giri...
phir na jaane kab tak giri...
humne socha ki khushi main aisa hi hota hai...
khushi ab khsuhi na rah kar dard ka ek nassor ho gayi..
dheere-2 khushi dard ki ek bhyanak tasweer ho gayi..
jab us tasweer ko dekha to sub barbaad nazar aaya..
Tab us dard ke parwaane ka paigaam samajh aaya..
phir ye socha ki jab vo khushi dard hi tha ...
to hame Dard ka parwaana kyo bachne aaya...
tab muzh naasamajh ko ye raaj samajh aaya..
har khushi main dard chippa hota hai..
khushi dard ka hi ek dusara naam hai..
aur Dard ka parwaana hamesha tumhe khushi se dur rakhta hai..
kyoki usko bhi bahut khushi (dard) milti hai tumhe dard dekar..

Aadi..